Posts

Showing posts from April 30, 2019

Ye baat samajh me ayi nahi- Roman script

 YEH BAAT SAMAJH MEH AAYI NAHI... Ye baat samajh me ayi nahi Aur ammi ne samjhai nahi Mai kaisay meethi baath karu Jab maine mithaai khai nahi Aapi bhi pakati hai halwa Phir vo bhi kyu halwai nahi Ye baat samajh me ayi nahi Nani k miya toh nana hai Dadi k miya bhi dada hai Jab aapa se maine pucha Baji k miya kya baja hai Vo hans hans kar ye kehne lagi Ay bhai nahi ay bhai nahi Ye baat samajh me ayi nahi Jab naya mahina ata hai Bijli ka bil aa jata hai Halankey badal bechara Ye bijli muft banata hai Phir hum ne apne ghar bijli Badal se kyu lagwai nahi Ye baat samajh me ayi nahi Agar billi sher ki Qala hai Toh hum ne isay kyu pala hai Kya sher bahot naalaiq hai Qala ko maar nikala hai Yaa,jungle k raja k yaha Kya milti doodh malai nahi Ye baat samajh me ayi nahi Kyu lambay baal hai bhaalu k Kyu is ki tind karai nahi Kya vo bhi ganda bacha hai Ya iske abbu ,bhai nahi Ye iska hairstyle hai Yaajungle me koi naai nahi Ye baat samajh me ayi nah