Ye baat samajh me ayi nahi- Roman script
YEH BAAT SAMAJH MEH AAYI NAHI...
Ye baat samajh me ayi nahi
Aur ammi ne samjhai nahi
Mai kaisay meethi baath karu
Jab maine mithaai khai nahi
Aapi bhi pakati hai halwa
Phir vo bhi kyu halwai nahi
Ye baat samajh me ayi nahi
Nani k miya toh nana hai
Dadi k miya bhi dada hai
Jab aapa se maine pucha
Baji k miya kya baja hai
Vo hans hans kar ye kehne lagi
Ay bhai nahi ay bhai nahi
Ye baat samajh me ayi nahi
Jab naya mahina ata hai
Bijli ka bil aa jata hai
Halankey badal bechara
Ye bijli muft banata hai
Phir hum ne apne ghar bijli
Badal se kyu lagwai nahi
Ye baat samajh me ayi nahi
Agar billi sher ki Qala hai
Toh hum ne isay kyu pala hai
Kya sher bahot naalaiq hai
Qala ko maar nikala hai
Yaa,jungle k raja k yaha
Kya milti doodh malai nahi
Ye baat samajh me ayi nahi
Kyu lambay baal hai bhaalu k
Kyu is ki tind karai nahi
Kya vo bhi ganda bacha hai
Ya iske abbu ,bhai nahi
Ye iska hairstyle hai
Yaajungle me koi naai nahi
Ye baat samajh me ayi nahi
Jo taaray jhilmil kartay hai
Kya unki chachi taayi nahi
Hoga koi rishta suraj se
Ye baat hume batlayi nahi
Ye chanda kaisa mama hai
Jab ammi ka vo bhai nahi
Ye baat samajh me ayi nahi
-Ahmed Khatib Siddiqui.
Comments
Post a Comment